sham-e-gham se shab-e-andoh se chashm-e-tar se
baz aaya main teri yaad ke us lashkar se
yan shab-o-roz hai matlab kise KHair-o-shar se
zindagi ka hai ajab silsila sim-o-zar se
jo tujhe chaha batana na bataya phir bhi
kab chhupa haal-e-dil-e-soKHta nama-bar se
baad-e-takmil hui ghar ki haqiqat malum
ghar kahan banta hai diwar se chhat se dar se
mehrbanon mein tera nam to likkha hai magar
KHub waqif hun meri jaan tere tewar se
sar bachata hun to phir panw nikal jate hain
aib iflas ka chhupta hi nahin chadar se
hirs ki dauD se rahta hun alag ai 'anjum'
faiz pahuncha hai mujhe dars-e-gah-e'qaisar' se

Ghazal
Sham-e-gham se shab-e-andoh se chashm-e-tar se
Mushtaq Anjum