اردو हिंदी
Sham-e-gham afsurda-o-hairan the hum | Shaahi Shayari
sham-e-gham afsurda-o-hairan the hum

Ghazal

Sham-e-gham afsurda-o-hairan the hum

M. A. Qadeer

;

sham-e-gham afsurda-o-hairan the hum
log samjhe be-sar-o-saman the hum

tez thi itni zamane ki hawa
pairahan-dar-pairahan uryan the hum

hum se be-mani gurez-o-iKHtilaf
ham-nashin do rose ke mehman the hum

aaj apni shahriyat mashkuk hai
ek din is mulk ke sultan the hum

zindagi kya hashr ka maidan thi
apni apni fikr mein ghaltan the hum

munkashif the hum pe asrar-e-jamal
raaz-dar-e-jalwa-e-jaanan the hum

thi hamin se garmi-e-mahfil 'qadir'
dastan-e-zist ke unwan the hum