sham aai hai liye hath mein yaadon ke charagh
wo tere sath guzare hue lamhon ke charagh
mere is ghar mein andhera kabhi hota hi nahin
hain mere sine mein jalte hue zaKHmon ke charagh
lakh tufan hon kuTiya meri raushan hi rahi
ek barsat se bujhne lage mahlon ke charagh
zindagi talKH haqiqat ki hai andhi si gali
apni aankhon mein jalate raho sapnon ke charagh
ek muddat se dhadhakta raha mera ye zehn
tab kahin ja ke farozan hue lafzon ke charagh
KHud ka hi nur kiya karta hai raushan dil ko
raushni tujh ko bhala kaise den ghairon ke charagh
sari duniya ko KHuda ek hi suraj de de
kash bujh jaen zamane se ye firqon ke charagh
ab to jamhur ki taqat ka hi suraj hai 'sahab'
ab zamane mein kahan jalte hain shahon ke charagh
Ghazal
Sham aai hai liye hath mein yaadon ke charagh
Ajay Sahaab