shaKH tinke ko likha shoale ko jhonka likh diya
main ghazal kahne laga lekin qasida likh diya
paDhti rahti hain KHalaon ko meri binaiyan
tu ne in auraq par mere KHuda kya likh diya
kis ki sansen mere hathon ki lakiren ban gain
kis ne mere aaine mein apna chehra likh diya
kis ki KHushbu se mahak uTThin meri tanhaiyan
kis ne virane mein qismat ka tamasha likh diya
main jahan Duba wahan buniyaad-e-sahil paD gai
aaKHiri sanson ne pani par jazira likh diya
zindagi ko uDte lamhon ke kafan mein Dhanp kar
sang-e-mustaqbil pe main ne apna katba likh diya
yun mukammal ki hai 'najmi' main ne apni dastan
jis jagah bhi rabt TuTa nam us ka likh diya
Ghazal
ShaKH tinke ko likha shoale ko jhonka likh diya
Moin Najmi