shaKH se patte parinde aashiyan se ja chuke
kaisi rut hai sab makin apne makan se ja chuke
main KHalaon mein bhaTakne ko akela rah gaya
mere sathi chand-tare aasman par ja chuke
KHushk patte uDte phirte hain yahan ab ja-ba-ja
rang-o-nikhat ke musafir gulsitan tak ja chuke
tere qabu mein the jab tere the ab tere nahin
uD ke ab alfaz ke panchhi zaban se ja chuke
kah rahe hain dard mein Dube hue diwar-o-dar
DhunDte phirte ho jin ko tum yahan se ja chuke
zindagi mein dekhne the ye bhi din 'KHawar' hamein
jo kabhi bichhDe na the wahm-o-guman se ja chuke
Ghazal
ShaKH se patte parinde aashiyan se ja chuke
Khaqan Khavar