shaKH par phul khil gae hain na
tum ko paigham mil gae hain na
ek aawaz-e-haq uThi dekha
aur aiwan hil gae hain na
wo to munh mein zaban rakhte the
un ke bhi honT sil gae hain na
tum nagina samajh rahe the use
kanch se hath chhil gae hain na
jo jahan hai wahan nahin milta
log markaz se hil gae hain na

Ghazal
ShaKH par phul khil gae hain na
Ravi Kumar