اردو हिंदी
ShaKH par KHun-e-gul rawan hai wahi | Shaahi Shayari
shaKH par KHun-e-gul rawan hai wahi

Ghazal

ShaKH par KHun-e-gul rawan hai wahi

Faiz Ahmad Faiz

;

shaKH par KHun-e-gul rawan hai wahi
shoKHi-e-rang-e-gulsitan hai wahi

sar wahi hai to aastan hai wahi
jaan wahi hai to jaan-e-jaan hai wahi

ab jahan mehrban nahin koi
kucha-e-yar mehrban hai wahi

barq sau bar gir ke KHak hui
raunaq-e-KHak-e-ashiyan hai wahi

aaj ki shab visal ki shab hai
dil se har roz dastan hai wahi

chand tare idhar nahin aate
warna zindan mein aasman hai wahi