shaKH meri na ab shajar mera
iKHtiyar ab hai aankh-bhar mera
aaine mein to aks hai lekin
mar Dalega mujh ko Dar mera
kaun jaane kahan kahan jaun
ham-safar ab ke hai safar mera
aasmanon pe tu raha KHamosh
ghar gaya tere nam par mera
main ne sajde mein sar jhukaya tha
le gae sar utar kar mera
tujh ko sab se juda bana dunga
chhin mat harf ka hunar mera
dasht-o-sahra ujaD aaya hun
DhunDhta hun kahan hai ghar mera
dast-o-bazu liye zaban mat le
aaKHiri par tu mat katar mera
mu-ba-mu kuchh simaT raha hai 'nizam'
aur charcha hai dar-ba-dar mera

Ghazal
ShaKH meri na ab shajar mera
Sheen Kaaf Nizam