اردو हिंदी
ShaKH-e-be-numu par bhi aks-e-gul jawan rakhna | Shaahi Shayari
shaKH-e-be-numu par bhi aks-e-gul jawan rakhna

Ghazal

ShaKH-e-be-numu par bhi aks-e-gul jawan rakhna

Jaleel u0027Aaliu0027

;

shaKH-e-be-numu par bhi aks-e-gul jawan rakhna
aa gaya hamein aali dil ko shadman rakhna

be-falak zaminon par raushni ko tarsoge
soch ke darichon mein koi kahkashan rakhna

rah-raw-e-tamanna ki dastan hai bas itni
subh o sham ek dhun mein KHud ko nim-jaan rakhna

kar-o-bar-e-duniya mein ahl-e-dard ki daulat
sud sab luTa dena pas har ziyan rakhna

us ki yaad mein hum ko rabt o zabt girya se
shab lahu lahu rakhni din dhuan dhuan rakhna

ishq KHud sikhata hai sari hikmaten 'ali'
naqd-e-dil kise dena bar-e-sar kahan rakhna