shahkar-e-husn-e-fitrat sazishon mein baT gaya
aaina TuTa to chehra aainon mein baT gaya
raat maqtal mein KHuda jaane wo kis ka qatl tha
jo tabarruk ban ke sare qatilon mein baT gaya
main kitab-e-zindagi ka ek lafz-e-mustaqil
waqt ne tashrih ki to hashiyon mein baT gaya
lakh ab duniya manae us ka jashn-e-irtikaz
wo to reza reza sare doston mein baT gaya
lamha lamha joD kar auron ko sadiyan baKHsh din
KHud sadi ka qatl kar ke saaton mein baT gaya
us ke bare mein ye andaza bhi lag sakta nahin
us ne kitne gham sahe kitne dukhon mein baT gaya
chand qatre us ki aankhon mein mile 'azar' magar
wo samundar ban ke sab pyase gharon mein baT gaya

Ghazal
Shahkar-e-husn-e-fitrat sazishon mein baT gaya
Mushtaq Aazar Fareedi