shaer mushaere ke liye man to gaya
lekin janab-e-'mir' ka diwan to gaya
jis din hua tha nine-elewen ka waqia
gore samajh rahe the musalman to gaya
E-N-T ka ek mualij hai mera dost
ab nak jaane wali hai ye kan to gaya
dilli ke gest-room mein us ne kaha uTho
nalke mein jal nahin hai ab ashnan to gaya
begam PIA se karachi chali gain
ab hum bhi jaane wale hain saman to gaya
kya paT-dar tum ne sunai hai ek ghazal
mujh ko ye lag raha hai mera kan to gaya
Ghazal
Shaer mushaere ke liye man to gaya
Khalid Irfan