sehr kaisa ye nai rut ne kiya dharti par
muddaton baad koi phul khila dharti par
jaane is kurra-e-tarik mein hai nur kahan
jaane kis aankh mein hai KHwab tera dharti par
aasmanon se KHamoshi bhi kabhi nazil kar
roz karte ho naya hashr bapa dharti par
aasmanon mein ulajhte ho siyah abr se kyun
aa faqiron ki tarah KHak uDa dharti par
ab bhi hilta hai mera naKHl-e-badan sar-ta-pa
ab bhi chalti hai hawasnak hawa dharti par
koi aawaz kahin se bhi nahin aati hai
qaf-ta-qaf hai kaisa ye KHala dharti par
ab bhi wabasta hain ummiden tumhin se hum ko
ab bhi hoti hai teri hamd o sana dharti par
hijr ki zard hawa yunhi agar chalti rahe
ek bhi peD rahega na hara dharti par
Ghazal
Sehr kaisa ye nai rut ne kiya dharti par
Rafiq Raaz

