sehn-e-chaman mein jaana mera aur faza mein bikhar jaana
shaKH-e-gul ke sath lachakna saba ke sath guzar jaana
sehr-bhari do aankhen mera pichha karti rahti hain
nagin ka wo muD kar dekhna phir wadi mein utar jaana
zaKHm hi tera muqaddar hain dil tujh ko kaun sambhaalega
ai mere bachpan ke sathi mere sath hi mar jaana
suraj ki in aaKHiri maddham kirnon ko gin sakte hain
din ka wo moti sa chamakna phir pani mein utar jaana
yahin kahin sahra mein Thahar ja dam lene ki baat nahin
KHak siwa rakkha hi kya hai yahan se aur kidhar jaana
us se ab dasht-e-imkan ke safar-hazar ka puchhna kya
jis ne rahguzar ke ghane peDon ko bhi dard-e-sar jaana
ek nihan-KHane ke taq par aaina rakkha tha 'zeb'
ek jhalak si apni dekhna aur wo mera Dar jaana
Ghazal
Sehn-e-chaman mein jaana mera aur faza mein bikhar jaana
Zeb Ghauri