saza baghair adalat se main nahin aaya
ki baz jurm-e-sadaqat se main nahin aaya
fasil-e-shahr mein paida kiya hai dar main ne
kisi bhi bab-e-riayat se main nahin aaya
uDa ke lai hai shayad KHayal ki KHushbu
tumhaari samt zarurat se main nahin aaya
tere qarib bhi yaad aa rahe hain kar-e-jahan
bahut qalaq hai ki fursat se main nahin aaya
guzar gae yun hi do chaar din aur is ke baad
yahi hua ki nadamat se main nahin aaya
hamesha sath raha hai 'sahar' mera suraj
guzar ke wadi-e-zulmat se main nahin aaya

Ghazal
Saza baghair adalat se main nahin aaya
Sahar Ansari