sayyaad aa gae hain sabhi ek ghat par
uThne lagi hain ungliyan ab meri zat par
mausam ka lahja sard hai yaaden bhi talKH hain
tanhaiyon ka bojh hai har samt raat par
kyun aaj meri yaad bhi aai nahin tujhe
kal tak to mera tazkira tha baat baat par
ghaTte the sath sath kabhi titliyon ke par
ab kyun KHafa KHafa se ho ek mere sath par
kyun dil ye be-qarar hai sahab mujhe bata
gar rakh diya hai hath ko 'wishma' ke hath par
Ghazal
Sayyaad aa gae hain sabhi ek ghat par
Vishma Khan Vishma