sawal-e-subh-e-chaman zulmat-e-KHizan se uTha
ye nafa kam to nahin hai jo is ziyan se uTha
safina-rani-e-mahtab dekhta koi
ki ek talatum-e-zau ju-e-kahkashan se uTha
ghubar-e-mah ki maqsum tha KHalaon ka
bikhar gaya to tere sang-e-astan se uTha
gham-e-zamana tere naz kya uThaunga
ki naz-e-dost bhi kam mujh se sargiran se uTha
mere habib bahut kam-sabaat hai duniya
mere habib bas ab hath imtihan se uTha
bayan-e-laghzish-e-adam na kar ki wo fitna
meri zamin se nahin tere aasman se uTha
kahan chale ho liye naqd-e-jaan-o-dil 'sahba'
ki karobar-e-wafa shahr-e-dil-baran se uTha
Ghazal
Sawal-e-subh-e-chaman zulmat-e-KHizan se uTha
Sahba Akhtar