sawad-e-sham se ta-subh-e-be-kinar gai
tere liye to main har bar haar haar gai
kahan ke KHwab ki aankhon se tere lams ke baad
hazar raat gai aur be-shumar gai
main misl-e-mausam-e-gham tere jism o jaan mein rahi
ki KHud bikhar gai lekin tujhe nikhaar gai
kamal-e-kam-nigahi hai ye e'tibar tera
wahi nigah bahut thi jo dil ke par gai
ajab sa silsila-e-na-rasai sath raha
main sath rah ke bhi aksar use pukar gai
KHabar nahin ki ye puchhun to kis se puchhun main
wahan talak main gai hun ki rahguzar gai
Ghazal
Sawad-e-sham se ta-subh-e-be-kinar gai
Shahida Hasan

