sawad-e-hijr mein rakkha hua diya hun main
tujhe KHabar nahin kis aag mein jala hun main
main qarya qarya phira gard-baad ban ke jahan
usi zamin pe parcham-sifat uTha hun main
abhi chhuTi nahin jannat ki dhul panw se
hanuz farsh-e-zamin par naya naya hun main
hazar shukr hai ki KHud pe ustuwar tha main
hazar shukr ki buniyaad par gira hun main
meri shaguft ke mausam abhi nahin aae
kahin kahin pe magar phir bhi khil gaya hun main
meri shikast bhi hai reKHt 'iftiKHar-mughal'
ki yunhi banne bigaDne mein hi bana hun main
Ghazal
Sawad-e-hijr mein rakkha hua diya hun main
Iftikhar Mughal