sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi
tum aae to is raat ki auqat banegi
un se yahi kah aaen ki ab hum na milenge
aaKHir koi taqrib-e-mulaqat banegi
ai nawak-e-gham dil mein hai ek bund lahu ki
kuchh aur to kya hum se mudaraat banegi
ye hum se na hoga ki kisi ek ko chahen
ai ishq hamari na tere sat banegi
ye kya hai ki baDhte chalo baDhte chalo aage
jab baiTh ke sochenge to kuchh baat banegi
Ghazal
Sau chand bhi chamkenge to kya baat banegi
Jaan Nisar Akhtar