sata rahi hai bahut machhliyon ki bas mujhe
bula raha hai samundar phir apne pas mujhe
hawas ka shisha-e-nazuk hun phuT jaunga
na mar khinch ke is tarah sang-e-yas mujhe
main qaid mein kabhi diwar-o-dar ki rah na saka
na aa saka kabhi shahron ka rang ras mujhe
main tere jism ke dariya ko pi chuka hun bahut
sata rahi hai phir ab kyun badan ki pyas mujhe
mere badan mein chhupa hai samundaron ka fusun
jala sakegi bhala kya ye KHushk ghas mujhe
girega TuT ke sar par ye aasman kabhi
Darae rakhta hai har dam mera qayas mujhe
jhulas raha hun main sadiyon se gham ke sahra mein
magar hai abr-e-gurezan ki phir bhi aas mujhe
Ghazal
Sata rahi hai bahut machhliyon ki bas mujhe
Ehtisham Akhtar