اردو हिंदी
Saron pe dhup to aankhon mein KHwab patthar ke | Shaahi Shayari
saron pe dhup to aankhon mein KHwab patthar ke

Ghazal

Saron pe dhup to aankhon mein KHwab patthar ke

Sayed Safi Hasan

;

saron pe dhup to aankhon mein KHwab patthar ke
wo sang-dil the so utre azab patthar ke

hawa-e-kucha-e-jaanan se haal pucha tha
isi KHata pe mile hain jawab patthar ke

ye kaun sang-e-sifat paniyon mein utra hai
uThe hain aab-e-rawan se habab patthar ke

hawaen banjh zamin be-samar nazar viran
ki ab ke barse hon jaise sahab patthar ke

talash-e-manzil-e-jaanan mein rahne walon ko
KHuda mile bhi to KHana-KHarab patthar ke

ye kaisa mausam-e-gul hai ye kaisa gulshan hai
rawish rawish mein khile hain gulab patthar ke

koi wahan gham-e-insan ki baat kya jaane
'safi' jahan pe hon izzat-maab patthar ke