اردو हिंदी
Sarir-e-KHama se tashrih-e-sirr-e-zi hogi | Shaahi Shayari
sarir-e-KHama se tashrih-e-sirr-e-zi hogi

Ghazal

Sarir-e-KHama se tashrih-e-sirr-e-zi hogi

Bebak Bhojpuri

;

sarir-e-KHama se tashrih-e-sirr-e-zi hogi
faza-e-sher mein iqlim-e-agahi hogi

jise karam se tere baKHt-e-na-rasa na mila
use nasib haqiqat mein kya KHushi hogi

faza-e-tira ki uqda-kusha hai jo tanwir
KHulus-e-dil ki wo pur-kar sadgi hogi

riyaz-e-mani ki jis se faza hai raKHshanda
alam-nasib ke dil ki wo shaeri hogi

haram ke KHak-nashinon se be-adab ijad
wufur-e-dard se paida qalandari hogi

lahu se dil ke charaghan karo KHuda-KHana
taDap jo ruh mein hogi to bandagi hogi

harim-e-naz ko surat-parast kya jaane
ada-shanas faqat dil ki be-KHudi hogi