اردو हिंदी
Sarf-e-gham humne naujawani ki | Shaahi Shayari
sarf-e-gham humne naujawani ki

Ghazal

Sarf-e-gham humne naujawani ki

Meer Asar

;

sarf-e-gham hum ne naujawani ki
wah kya KHub zindagani ki

apni biti agar main tujh se kahun
baat nibDe na is kahani ki

tere daghon ki ai gham-e-ulfat
KHub hum ne bhi baghbani ki

jun nigah dil gaya hai aaankhon ki rah
garche hum ne nigahbani ki

kis ke han tum karam nahin karte
kabhu idhar na mehrbani ki

apne nazdik dard-e-dil main kaha
tere nazdik qissa-KHwani ki

harza-goi se mujh ko di hai najat
haigi minnat ye be-zabani ki

nahin taqat ki dam nikal sakun
ab ye naubat hai na-tawani ki

'asar' is haal pe bhi jita hai
kya kahun us ki saKHt-jaani ki