sardi bhi KHatm ho gai barsat bhi gai
aur is ke sath garmi-e-jazbaat bhi gai
us ne meri kitab ka dibacha paDh liya
ab to kabhi kabhi ki mulaqat bhi gai
main aasman pe ja ke bhi tare na la saka
tum bhi gae udas meri baat bhi gai
hum sufiyon ka donon taraf se ziyan hua
irfan-e-zat bhi na hua raat bhi gai
milne lagi hai aam to pina bhi kam hua
qillat ke KHatm hote hi buhtat bhi gai
Ghazal
Sardi bhi KHatm ho gai barsat bhi gai
Shuja Khaavar