sard sannaTon ki sab sargoshiyan le jaunga
main jahan bhi jaunga dil ki zaban le jaunga
shahar chhoDunga to roengi milon ki chimniyan
dekhna ek rose main sara dhuan le jaunga
wo jahan chahe chala jae ye us ka iKHtiyar
sochna ye hai ki main KHud ko kahan le jaunga
sath-e-dariya raqs mein hai aaj mujh ko dekh kar
aaj main us par apna karwan le jaunga
wo agar do-chaar qatron se nawazega to kya
ek ek qatre mein bahr-e-be-karan le jaunga
manzaron ko kya KHabar hogi ki un ke waste
qurbaten taqsim kar ke duriyan le jaunga
jin andheron se tumhein har-waqt wahshat hai KHayal
un andheron tak tumhaari dastan le jaunga

Ghazal
Sard sannaTon ki sab sargoshiyan le jaunga
Chandrabhan Khayal