sarapa husn-e-samdhan goya gulshan ki kyari hai
pari bhi ab to bazi husn mein samdhan se mari hai
khinchi kanghi gundhi choTi jami paTTi laga kajal
kaman-abru nazar jadu nigah har ek dulari hai
jabin mahtab aankhen shoKH shirin lab guhar dandan
badan moti dahan ghunche ada hansne ki pyari hai
naya kam-KHwab ka lahnga jhamakte tash ki angiya
kuchen taswir si jin pe laga goTa kanari hai
mulaem peT maKHmal sa kali si naf ki surat
uTha sina safa peDu ajab joban ki nari hai
surin nazuk kamar patli KHat-e-gulzar ruma dil
kahun kya aage ab is ke maqam-e-parda-dari hai
laTakti chaal madh-mati chale bichchhon ko jhankati
ada mein dil liye jati ajab samdhan hamari hai
bhare joban pe itraati jhamak angiya ki dikhlati
kamar lahange se bal khati laTak ghunghaT ki bhaari hai
Ghazal
Sarapa husn-e-samdhan goya gulshan ki kyari hai
Nazeer Akbarabadi