sar uThaya mazhabi diwar par paTka hua
rah par aane laga dil rah se bhaTka hua
ras-kashi ki dawaten dete rahe taza gulab
jhaDiyon mein tha magar titli ka par aTka hua
tazkira hone laga jab aastin ke sanp ka
pas hi ehsas mujh ko sarsarahaT ka hua
tishna-e-didar mein hi to nahin hun in dinon
us ke ghar ke aaine ka bhi hai munh laTka hua
ajnabi mahaul mein kho jaane ka Dar hai to kya
tham lun daman tera mein barha jhaTka hua
Ghazal
Sar uThaya mazhabi diwar par paTka hua
Zeeshan Ilahi