اردو हिंदी
Sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega | Shaahi Shayari
sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega

Ghazal

Sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega

Krishn Adeeb

;

sar-phiri pagal hawa ka tez jhonka aaega
hasraton ke KHushk patton ko uDa le jaega

dudhiya aakash mein kis ko sada deta hai tu
tere mazi ka parinda ab na wapas aaega

chhoTi chhoTi KHwahishon ka qatl hote dekh kar
umr ka ehsas ruKH par gard ban ke chhaega

waqt us se chhin lega KHud-pasandi ka ghurur
han yaqinan wo KHuda ban kar bahut pachhtaega

wo hai sar-ta-pa mujassam ek francisi sharab
nashsha ban kar jism us ka zehn par bhi chhaega

KHwahishon ke jangalon mein lazzaton ke peD hain
jin ke sae mein musafir der tak sustaega

aap apni aag mein hum hath tapenge 'adib'
jab december sath apne barf-bari laega