اردو हिंदी
Sar par dukh ka taj suhana lagta hai | Shaahi Shayari
sar par dukh ka taj suhana lagta hai

Ghazal

Sar par dukh ka taj suhana lagta hai

Yusuf Jamal

;

sar par dukh ka taj suhana lagta hai
mera chehra kya shahana lagta hai

jab main kachcha phal tha to mahfuz tha main
ab jo paka to mujh pe nishana lagta hai

shahr-e-dil ke KHwab ki kya tabir karun
kabhi naya ye kabhi purana lagta hai

hathon mein kashkol liye tu de na sada
bahron ka to ye kashana lagta hai

aaine mein dekh ke ye mahsus hua
tera chehra kyun begana lagta hai