اردو हिंदी
Sar mein ek sauda tha baam-o-dar banane ka | Shaahi Shayari
sar mein ek sauda tha baam-o-dar banane ka

Ghazal

Sar mein ek sauda tha baam-o-dar banane ka

Shafiq Saleemi

;

sar mein ek sauda tha baam-o-dar banane ka
aaj tak nahin socha hum ne ghar banane ka

yun na rengti rahtin kaghazon pe taswiren
waqt jo mila hota baal-o-par banane ka

yun kahan bhaTakte hum KHwahishon ke sahra mein
fan agar hamein aata mal-o-zar banane ka

chal diye akele hi justuju-e-manzil mein
kaam KHasa mushkil tha ham-safar banane ka

ye hunar bhi aaKHir ko us ne sikh kar chhoDa
hum se hosh-mandon ko be-KHabar banane ka

ek shauq aisa bhi hum ne pal rakkha hai
be-wiqar logon ko mo'atabar banane ka