sar kaTa kar sifat-e-shama jo mar jate hain
nam raushan wahi aafaq mein kar jate hain
lakhon ka KHun bahaenge wo jab honge jawan
jo laDakpan mein lahu dekh ke Dar jate hain
jumbish-e-tegh-e-nigah ki nahin hajat aslan
kaam mera wo ishaaron hi mein kar jate hain
un ko ushshaq hi ke dil ki nahin hai taKHsis
koi shisha ho pari ban ke utar jate hain
barq ki tarah se betab jo hain ai 'nadir'
tar-ghar kis ki wo lene ko KHabar jate hain
Ghazal
Sar kaTa kar sifat-e-shama jo mar jate hain
Nadir Lakhnavi