sar-kashi ko jab hum ne ham-rikab rakhna hai
TuTne bikharne ka kya hisab rakhna hai
ek ek saat mein zindagi samoni hai
ek ek jazbe mein inqalab rakhna hai
raat ke andheron se jang karne walon ne
subh ki hatheli par aaftab rakhna hai
hum pe us se wajib hain koshishen baghawat ki
tum ne jis qabile ko kaamyab rakhna hai
rakh do hum faqiron ki is kushada jholi mein
apni baadshahi ka jo azab rakhna hai
tum to KHud zamane mein jabr ki alamat ho
tum ne jabr kya zer-e-ehtisab rakhna hai
shahr-e-be-aman hum ne naqd-e-jaan luTa kar bhi
tere har dariche par kal ka KHwab rakhna hai

Ghazal
Sar-kashi ko jab humne ham-rikab rakhna hai
Sarwar Arman