sar jhuka leta tha pahle jis ko akasr dekh kar
aaj pagal ho gaya us ko barabar dekh kar
KHwahishon mein bah gaya kamzor miTTi ka hisar
jism qatre mein simaT aaya samundar dekh kar
sochta hun raat ke andhe safar ke moD par
chand ghabraya to hoga KHali bistar dekh kar
aankh khulte hi har ek lamhe mein mera aks tha
main bikhar jata hun is khiDki ke bahar dekh kar
tu hi utrega KHarabon mein faraaz-e-arsh se
hum to behis ho chuke hain ab ye manzar dekh kar
chand takne ki tamanna le ke wapas aa gaya
dusron ke ghar ko apni chhat se upar dekh kar
ab to muD kar bhi kisi aawaz ko sunta nahin
ja-ba-ja bikhre hue saDkon pe patthar dekh kar
mujh ko 'sarmad' apni bhi pahchan tak baqi nahin
shaKHs ek apne hi jaisa apne andar dekh kar
Ghazal
Sar jhuka leta tha pahle jis ko akasr dekh kar
Sarmad Sahbai