sar-e-tufan-e-gham aksar sahaara DhunD lete hain
udasi ke samundar mein kinara DhunD lete hain
kabhi to samne ki baat bhi hum par nahin khulti
kabhi tah-dariyon mein gum ishaara DhunD lete hain
tabiat rang mein aae to hum chashm-e-tasawwur se
kisi be-jaan manzar mein nazara DhunDh lete hain
badal Dale hain kitne ghar KHushi ke waste hum ne
magar ye gham hamesha ghar hamara DhunDh lete hain
zamin jo mehrban hoti nahin to ab yahi hal hai
falak par apni qismat ka sitara DhunD lete hain
hamari na-umidi aur tumhaari aarzuon ka
mudawa ek hai mil kar KHudara DhunD lete hain
gurezan hone lagti hai kabhi jab shairi hum se
bahana us se milne ka dobara DhunD lete hain

Ghazal
Sar-e-tufan-e-gham aksar sahaara DhunD lete hain
Salman Sarwat