sar-e-sahra habab beche hain
lab-e-dariya sarab beche hain
aur to kya tha bechne ke liye
apni aankhon ke KHwab beche hain
KHud sawal un labon se kar ke miyan
KHud hi un ke jawab beche hain
zulf-kuchon mein shana-kush ne tere
kitne hi pech-o-tab beche hain
shahr mein hum KHarab haalon ne
haal apne KHarab beche hain
jaan-e-man teri be-naqabi ne
aaj kitne naqab beche hain
meri fariyaad ne sukut ke sath
apne lab ke azab beche hain
Ghazal
Sar-e-sahra habab beche hain
Jaun Eliya