sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle
tu ne roka bhi tha bande ko KHata se pahle
ashk aankhon mein hain honTon pe buka se pahle
qafila gham ka chala bang-e-dara se pahle
han yahi dil jo kisi ka hai ab aaina-e-husn
waraq-e-sada tha ulfat ki jila se pahle
ibtida hi se na de zist mujhe dars is ka
aur bhi bab to hain bab-e-raza se pahle
main gira KHak pe lekin kabhi tum ne socha
mujh pe kya bit gai laghzish-e-pa se pahle
ashk aate to the lekin ye chamak aur taDap
in mein kab thi gham-e-ulfat ki jila se pahle
dar-e-mai-KHana se aati hai sada-e-saqi
aaj sairab kiye jaenge pyase pahle
raaz-e-mai-noshi-e-'mulla' hua ifsha warna
samjha jata tha wali laghzish-e-pa se pahle
Ghazal
Sar-e-mahshar yahi puchhunga KHuda se pahle
Anand Narayan Mulla