اردو हिंदी
Sar-e-ihata-e-gham raat bhar sanwarna tha | Shaahi Shayari
sar-e-ihata-e-gham raat bhar sanwarna tha

Ghazal

Sar-e-ihata-e-gham raat bhar sanwarna tha

Mazhar Imam

;

sar-e-ihata-e-gham raat bhar sanwarna tha
teri judai mein kar-e-hunar bhi karna tha

ufuq qarib tha himmat ki surKH-rui ka
lahu mein Dub ke dariya ko par utarna tha

hamein thi kaun si sajde ki aarzu tum se
magar dua mein kabhi hum ko yaad karna tha

agar main barg-e-sahar hun to tum ko thoDi der
misal-e-qatra-e-shabnam yahan Thaharna tha

jawab ka to pata tha hamein magar phir bhi
lab-e-sawal mila tha sawal karna tha

wo log sahil-e-shab par bikhar gae kaise
unhen to aaina-e-subh mein sanwarna tha