sar-e-baam-e-hijr diya bujha to KHabar hui
sar-e-sham koi juda hua to KHabar hui
mera KHush-KHiram bala ka tez-KHiram tha
meri zindagi se chala gaya to KHabar hui
mere sare harf tamam harf azab the
mere kam-suKHan ne suKHan kiya to KHabar hui
koi baat ban ke bigaD gai to pata chala
mere bewafa ne karam kiya to KHabar hui
mere ham-safar ke safar ki samt hi aur thi
kahin rasta koi gum hua to KHabar hui
mere qissa-go ne kahan kahan se baDhai baat
mujhe dastan ka sira mila to KHabar hui
na lahu ka mausam-e-rang-rez na dil na main
koi KHwab tha ki bikhar gaya to KHabar hui
Ghazal
Sar-e-baam-e-hijr diya bujha to KHabar hui
Iftikhar Arif