اردو हिंदी
Sar-ba-sar paikar-e-izhaar mein lata hai mujhe | Shaahi Shayari
sar-ba-sar paikar-e-izhaar mein lata hai mujhe

Ghazal

Sar-ba-sar paikar-e-izhaar mein lata hai mujhe

Ahmad Mahfuz

;

sar-ba-sar paikar-e-izhaar mein lata hai mujhe
aur phir KHud hi tah-e-KHak chhupata hai mujhe

kab se sunta hun wahi ek sada-e-KHamosh
koi to hai jo bulandi se bulata hai mujhe

raat aankhon mein meri gard-e-siyah Dal ke wo
farsh-e-be-KHwabi-e-wahshat pe sulata hai mujhe

gum-shuda main hun to har samt bhi gum hai mujh mein
dekhta hun wo kidhar DhunDne jata hai mujhe

didani hai ye tawajjoh bhi ba-andaz-e-sitam
umr bhar shisha-e-KHali se pilata hai mujhe

hama-andesha-e-girdab ba-pahlu-e-nashat
mauj-dar-mauj hi sahil nazar aata hai mujhe