اردو हिंदी
Sar-ba-sar ek chamakti hui talwar tha main | Shaahi Shayari
sar-ba-sar ek chamakti hui talwar tha main

Ghazal

Sar-ba-sar ek chamakti hui talwar tha main

Rajinder Manchanda Bani

;

sar-ba-sar ek chamakti hui talwar tha main
mauj-e-dariya se magar bar-sar-e-paikar tha main

main kisi lamha-e-be-waqt ka ek saya tha
ya kisi harf-e-tahi-ism ka izhaar tha main

ek ek mauj paTaKH deti thi bahar mujh ko
kabhi is par tha main aur kabhi us par tha main

us ne phir tark-e-talluq ka bhi mauqa na diya
ghaTte rishton se ki har-chand KHabar-dar tha main

is tamashe mein tassur koi lane ke liye
qatl 'bani' jise hona tha wo kirdar tha main