sanwar jae bhi to munh dekhne darpan nahin milta
gharibi ki kalai mein koi kangan nahin milta
baDon ki KHwahishon ka bojh hai nanhe se kandhon par
hamare daur mein bachchon ko ab bachpan nahin milta
main zid kar ke kabhi rota to aansu ponchh leti thi
abhi rota hun to shafqat-bhara daman nahin milta
kahin jhule nahin paDte kabhi sarson nahin phuli
yahan pardes mein aa kar mujhe sawan nahin milta
siyasat ki dukanon se KHariden hain nae chehre
sabhi rahbar banen phirte hain ek rahzan nahin milta
mere aslaf sa koi amanat-dar hai 'sabir'
agar masraf ho zati to diya raushan nahin milta

Ghazal
Sanwar jae bhi to munh dekhne darpan nahin milta
Sabir Shah Sabir