sansar se bhage phirte ho bhagwan ko tum kya paoge
is lok ko bhi apna na sake us lok mein bhi pachhtaoge
ye pap hai kya ye pun hai kya riton par dharm ki Thahren hain
har yug mein badalte dharmon ko kaise aadarsh banaoge
ye bhuk bhi ek tapasya hai tum tyag ke mare kya jaano
apman rachaita ka hoga rachna ko agar Thukraoge
hum kahte hain ye jag apna hai tum kahte ho jhuTa sapna hai
hum janm bita kar jaenge tum janm ganwa kar jaoge

Ghazal
Sansar se bhage phirte ho bhagwan ko tum kya paoge
Sahir Ludhianvi