sang-rezon ki tarah pesh-e-nazar rahte hain
mere kase mein paDe lal-o-gohar rahte hain
sae chunte hain kaDi dhup ke sahra se hum
pa-shikasta hain magar mahw-e-safar rahte hain
kal koyal ki sadaen na shafaq rang kahin
shahr mein jaane kahan sham-o-sahar rahte hain
khelte hain mere aangan mein wo KHush KHush baham
ranj KHushiyon se bahut shir-o-shakar rahte hain
KHema-zan ho to gae KHana-badoshi na gai
be-ghari mein bhi sada dosh pe ghar rahte hain
qahat-sali hai basirat ki nagar mein 'sabir'
kor-chashmon se yahan ahl-e-nazar rahte hain

Ghazal
Sang-rezon ki tarah pesh-e-nazar rahte hain
Sabir Shah Sabir