sang-e-tiflan ka hadaf jism hamara nikla
hum to jis shahr gae shahr tumhaara nikla
kis se ummid karen koi elaj-e-dil ki
chaaragar bhi to bahut dard ka mara nikla
jaane muddat pe teri yaad kidhar se aai
rakh ke Dher mein poshida sharara nikla
dil pe kya jaane guzar jati hai kya pichhle-pahar
os Tapki to kahin subh ka tara nikla
jate jate diya is tarah dilasa us ne
bich dariya mein koi jaise kinara nikla
koi sahra ka hawala na samundar ki misal
jo bhi Duba hai jahan dost hamara nikla
bul-hawas zid mein sahi dar-o-rasan se guzra
ab pashiman hai ki sauda ye KHasara nikla
Ghazal
Sang-e-tiflan ka hadaf jism hamara nikla
Lutf-ur-rahman