sang-e-tiflan fida-e-sar na hua
aaj us kuche mein guzar na hua
hum bhi the jauhar-e-giran-maya
par koi sahib-e-nazar na hua
amn-alam mein kyun nahin ya rab
is ke qabil magar bashar na hua
be-kasi parda-dar-e-dard hui
KHair guzri ki apna ghar na hua
qadrdani ki kaifiyat malum
aib kya hai agar hunar na hua
sar jhukae jo aate ho 'wahshat'
magar is bazm mein guzar na hua
Ghazal
Sang-e-tiflan fida-e-sar na hua
Wahshat Raza Ali Kalkatvi