sanam ke dekh kar lab aur dahan surKH
hua hai KHun-e-bulbul se chaman surKH
shahid-e-lala-ruyan ko baja hai
dafan ke waqt gar kije kafan surKH
hua majnun ke haq mein dasht gulzar
kiya hai ishq ke Tesu ne ban surKH
gulon ka rang ab zard ho gaya hai
chaman mein dekh kar tera badan surKH
kar 'hatim' yaad ahwal-e-shahidan
shafaq se jab ki hota hai gagan surKH
Ghazal
Sanam ke dekh kar lab aur dahan surKH
Shaikh Zahuruddin Hatim