san li sada-e-koh-e-nida aur chal paDe
hum ne kisi se kuchh na kaha aur chal paDe
sae mein do ghaDi bhi na Thahre guzarte log
peDon pe apna nam likha aur chal paDe
Thahri hui faza mein ulajhne laga tha dam
hum ne hua ka git suna aur chal paDe
tarik raston ka safar sahl tha hamein
raushan kiya lahu ka diya aur chal paDe
raKHt-e-safar jo pas hamare na tha to kya
shauq-e-safar ko sath liya aur chal paDe
ghar mein raha tha kaun ki ruKHsat kare hamein
chaukhaT ko alwidaa kaha aur chal paDe
'maKHmur' wapsi ka irada na tha magar
dar ko khula hi chhoD diya aur chal paDe
Ghazal
San li sada-e-koh-e-nida aur chal paDe
Makhmoor Saeedi