san kar bayan-e-dard kaleja dahal na jae
duniya se Dar rahe the ki duniya badal na jae
har mahfil-e-nashat se phirta hun dur dur
kya ehtiyat hai ki tera gham bahal na jae
to aaj tak to hai meri nazron mein hu-ba-hu
duniya badal gai teri surat badal na jae
hain taq-e-arzu pe khilaune saje hue
mayus aarzu ki tabiat machal na jae
tishna-labi kahin mujhe gharqab kar na de
thoDi si raushni ke liye ghar hi jal na jae
ek KHauf hai ki manzil-e-nisyan qarib hai
tu wadi-e-KHayal se aage nikal na jae
roun kahan ki rahat-e-KHalwat nahin hai 'shaz'
hansne pe bhi ye shart ki aansu nikal na jae

Ghazal
San kar bayan-e-dard kaleja dahal na jae
Shaz Tamkanat