samundar tishnagi wahshat rasai chashma-e-lab tak
ye sara khel in aankhon se dekha tere kartab tak
tamasha-gah-e-duniya mein tamashai rahe hum bhi
sahar ki aarzu hum ne bhi ki thi jalwa-e-shab tak
na jaane waqt ka kya faisla hai der kitni hai
ghaDi ki suiyan bhi ho chuki hain muzmahil ab tak
kabhi fursat mili to aasman se hum ye puchhenge
rahega tu hamare sar pe yun hi mehrban kab tak
KHuda jaane kahan tak kaamyabi hath aai hai
ki apni baat to pahuncha chuka apne muKHatab tak
Ghazal
Samundar tishnagi wahshat rasai chashma-e-lab tak
Shahram Sarmadi

