samundar ka tamasha kar raha hun
main sahil ban ke pyasa mar raha hun
agarche dil mein sahra ki tapish hai
magar main Dubne se Dar raha hun
main apne ghar ki har shai ko jala kar
shabistanon ko raushan kar raha hun
wahi lae mujhe dar-o-rasan par
main jin logon ka paighambar raha hun
wahi patthar laga hai mere sar par
azal se jis ko sajde kar raha hun
tarashe shahr main ne 'baKHsh' kya kya
magar KHud ta-abad be-ghar raha hun
Ghazal
Samundar ka tamasha kar raha hun
Bakhsh Layalpuri